Beading up a reality with background music.

Tuesday, February 4, 2014

14 july 2011

Socho, agar khayal na hotay toh kya hota? Zabaan na hoti toh khayal
kaisay hotay?
Aur jo society nay rules banadiye hain woh na hotay toh kya hota? Agar
larkay ke bajaye larki propose karday toh koi ghalat baat toh nahi.

Kabhi kabhi socho toh lagta hai yeh rishtay kuch nahi hotay. Shadi ke.
Ke ap akele bhi reh saktay hain. Lekin human innate needs are so
strong that they rule our thougts.

Zindagi main tum sirf wohi cycle poori karnay toh nahi aye jp sadiyon
se chalti arahi hai. Woh sab kiya toh zindagi ko samjhanay ka time kab
nikala?

Itna kuch hai karnay ko. Aur waqt bohut kam hai. Lekin phir bhi hum 2
cheezon ke hi peechay bhaagtay hain. Paisa aur woh ek shakhs. Your
special someone.
Zaruri toh nahi hai

Itna khula aasmaan hai, itna gehra samandar. Dono main se kisi main
bhi khogaye toh rang hi rang milaynge.

No comments:

Post a Comment