Beading up a reality with background music.

Monday, October 27, 2014

Aur phir yoon hua,
Geela geela chaand haat se phisal gaya
Aur sooraj ki tapish ne nami sukkha di

Tuesday, October 21, 2014

Jiss tarha waqt badalta hai
Dib badaltay hain
Uss hi tarha insaan bhi badaltay hain
Zaroori nahi ke Jo aapka dost 5 saal pehle tha Woh aaj bhi hoga.

Saturday, September 27, 2014

Jab mohabbat hoti hai toh kaghaz bhi dost lagte hain aur alfaz bhi
Aur jab dil toot'ta hai toh dushman.

Friday, September 26, 2014

So, things happen
And some other things happen
And they continue to happen
I guess we should just let it be
And let the things happen.

Thursday, September 11, 2014

I'm going to hold just a little longer before I let it go.
Until I'm sure you feel the same way.
I need to keep myself safe, so till I know you feel for me, I won't give in. I'll fight it as long as I can.

Tuesday, July 29, 2014

But then those parts and divisions in your soul shouldn't have existed
You should've creamed those with a whisk and piped it with your favourite icing
Let it cool down and let others feed on it to their hearts content.
Because that's what people do when they see their favourite cake.

Monday, May 26, 2014

Armaan agar note bhi na
Toh urrjaate pankh laga ke
Yahan halwa itni tez hai hasraton ki

Friday, April 25, 2014

Sometimes there's this silent lover that lives inside you. It makes you feel aches of unrequited love. It makes you feel joys of having a soulmate.

Sometimes soulmates live in you. They aren't a different person.

Sometimes you are your own soulmate.
And sometimes you are your own lover.
You break your heart and repair it. You write love letters in your head and quote song lyrics.

Sometimes you are the only person you need.

Friday, March 14, 2014

Lafzon ka her pher hai zindagi
Do lafz idher joray toh jhoot
Ek lafz  udher se hataya toh sach   

Wednesday, February 12, 2014

Khala aur duaa

Agar Khalaa na hoti aasmano kay baad
Toh kya duaaen tab bhi utna hi waqt leti?

Tuesday, February 4, 2014

may 2nd 2010

Her tears burn the black of the night, resembling the darkness filled in her. Darkness of her past, of her life, of her existence. Whom was she to trust, whom was she to tell, the story of  pessimism. A tale that defines her, makes her and breaks her. This was one thing she wanted to scream out aloud for an answer, why her? What had she ever done to deserve this, what grave mistake did she dare commit that, for which the punishment was so cruel, so very dark.
Who would want to be sold off by her husband, on their wedding the night, the man who vowed to keep her and comfort her, in sickness and in health, in poverty and in wealth, till death drew them apart?
The only man a girl trusts her life with after her father, a man who’d protect her and shield her from the eyes of every other man, who’d feed her and nurse her when she’s sick. Who’d give her all of him and in return she’d be his.

Instead, You’re sitting on you’re bridal bed, wearing a heavy red outfit and loaded with gold, heart bursting with blessings, love and fear. 
Sound of distant footsteps, shuffling of the kurta, and the flower garland.

The bed got a bit lower, someone came and sat beside her. Her husband, That one being who;d love and protect her.

Sound of distant footsteps again.

First; muffled voices.

Now; “ Yeh larki ab tumhara “Maal” hai, tum nibto, rakhna hai rakho, warna raat ke baad, sarak pe phenk dena”


And then the man, who was suppose to the pillar of her dreams and her house, the foundation of her love, sold her off and vanished. Shattered the dreams even before they started to being dreamt, ran a bulldozer over the foundation, cement still wet.

16th july 2011

Waqt itni tayzi se guzarta hai ke hum bas yeh sochtay hi rehjatay hain
ke kaash hum uss ek lamhay ko thori aur dayr mehsoos kar patay. Bas
itni aur dayr takay jab agli dafs hum sochnay baithayn tph woh din,
aur woh lamha humayn istarha aur iss safai se yaad ho ke haath barhayn
aur chhoo sakayn.
Lekin jab waqt ruk jata hai na, uss say zyada painful moment koi nahi hota.

15th july 2011

Pani kitna pure aur serene hota hai na? Aur samandar ka shor
>>>> kitna soothing hota hai. Paya hai leheron ki itni awaz kyun hoti hai?
>>>> Kyunke it bears everyones secrets. Paani mitti par se mita toh deta
>>>> hai lekin woh lafx apnay saath lejata hai. Aur jo shor hota hai, woh
>>>> unlogon ki batayn hoti hain.

14 july 2011

Socho, agar khayal na hotay toh kya hota? Zabaan na hoti toh khayal
kaisay hotay?
Aur jo society nay rules banadiye hain woh na hotay toh kya hota? Agar
larkay ke bajaye larki propose karday toh koi ghalat baat toh nahi.

Kabhi kabhi socho toh lagta hai yeh rishtay kuch nahi hotay. Shadi ke.
Ke ap akele bhi reh saktay hain. Lekin human innate needs are so
strong that they rule our thougts.

Zindagi main tum sirf wohi cycle poori karnay toh nahi aye jp sadiyon
se chalti arahi hai. Woh sab kiya toh zindagi ko samjhanay ka time kab
nikala?

Itna kuch hai karnay ko. Aur waqt bohut kam hai. Lekin phir bhi hum 2
cheezon ke hi peechay bhaagtay hain. Paisa aur woh ek shakhs. Your
special someone.
Zaruri toh nahi hai

Itna khula aasmaan hai, itna gehra samandar. Dono main se kisi main
bhi khogaye toh rang hi rang milaynge.

14th july 2011

Then in the morning a friend of mine showed me her film she made for
her class, it continued the thinking streak.
Mujhe nahi lagta ke meri zindagi itni zyada sad hai.
Ya bohut tragic hai.
Shayad kisi ki nahi hoti, ya hoti bhi ho.
Lekin meri nahi hai. shayad maine khud hi bana di?
Lekin then I also think ke jab insaan itna strong rehta hai, toh ek
time zaroor ata hai jab woh aur kuch nahi bare karsakta.
Lekin kya mera woh time agaya tha? ya hai?
Am I too young for that? Or is there no age?
Lekin phir meri poori zindagi pari hai aur mujhe itna kuch dekhna hai,
breaking up like this would just make me weaker.

Kaash mujhe parhna na parta, not because I dont like it. But because
then Id be able to roam around freely and do what I like.
Hunt for myself and my passions.
Jis tarha movies main hota hai? bilkul waisa break.

Kabhi kabhi sochti hoon ke agar koi rishta na hota, koi dost na hota
toh kaisi zindagi hoti.
Kaisa hota kisi ko naa jan'na aur naa pehchan'na.
Baghair kisi expectation ke zindagi guzarna
Bus diye jana kisi umeed ke bagahair.

Kahin kho jana kabhi,
Kabhi din guzarna sahil ki kinaray
Jab koi poochnay wala naa ho.
Bas apnay khayal hon aur khud
Rayt ho, sochayn hon aur paani.
Ab aanay ki zaroorat nahi,
Tum ko,
ab,
Aanay ki zaroorat nahi,
Darwazy band hai,
Chabiyan khoyi
Dil toh pehle bhi nahi tha,
Ab toh bilkul aanay ki umeed nahi
Tum ko bhi, ab aanay ki zaroorat nahi.

Khaali thay,
Achay thay
Na umeeden thi,
Na khwaab,
Na kisi ka sahara thay
Na kisi ki zaroorat,
Khaali hi rehne do
Jalay banay rehne do
Jhaarnay se dhool aayegi
Tumhen aankhon main na chubh jaaye
Jaisay thay
Waisay hi rehne do