Beading up a reality with background music.

Sunday, October 14, 2012

Karachi

And there are other kind of cities.That live inside you and resonate within for years and moments to come. You breathe them like oxygen and drink them like water.
They become a part of you. Like second nature. Almost like first. Your very first love that you realize very very late. You’re lucky if you were smart enough to understand it within a few years time. And that’s exactly how Karachi is. Or was. Maybe. I don’t know. Its love at first sight. The city has so much to offer. And it will burn within you even after you’ve left the place.

Tuesday, October 9, 2012

Aao kahani bunen

Koi daanishvar aadmi zara mujhe yeh bataye ke kahani kaisay buni jaati hai.
Yeh koi rung biranga oon ka gola hai jo silaiyon main phansaa liya aur buntay buntay 'kahani' bunli?
Ya karoshiye ka dhaaga hai jo ungli main lapyt ke silaye chalayi toh 'Kahani' bungayi?

Aakhir yeh kahani bunnay ka lifz kis nay ijaad kiya tha?
Humen toh usske zehni tavvazun pe shak hota hai.
Bunna tha toh sweater bunta, scarf bunta, yeh kahani bunnay ka rivaaj hi koi naya ha
i
Qissa kuch iss tarha hai ke hum subha subha uthay, 
Baghair baalon main kanga kiye, baghair istri kiye kapray.
Pairon main chappal pasaray, Urdu bazaar ko niklay.
Iss khushi main ke humen wahan ek jild main fasanae azaad miljayegi.

Aur jo hum wahan pohche humari khushi ki inteha naa thi,

Itni saari urdu adab ki kitaaben kabhi humne ek hi dukaan min kabhi na dekhi thin
Jo poochne gaye ke bhai zara fasane azaad toh dikhaadijiye.
Humara dil baithay ka baitha gaya.
Boltay hain, baji yeh toh 4 jildon main milegi. Aur alag hum de nahi sakte. Leni hai toh saari kitaaben saath lo.

Hum mooh latkaye, teen chaar kitaben liye ultay qadam ghar ko hue.