Beading up a reality with background music.

Tuesday, October 9, 2012

Qissa kuch iss tarha hai ke hum subha subha uthay, 
Baghair baalon main kanga kiye, baghair istri kiye kapray.
Pairon main chappal pasaray, Urdu bazaar ko niklay.
Iss khushi main ke humen wahan ek jild main fasanae azaad miljayegi.

Aur jo hum wahan pohche humari khushi ki inteha naa thi,

Itni saari urdu adab ki kitaaben kabhi humne ek hi dukaan min kabhi na dekhi thin
Jo poochne gaye ke bhai zara fasane azaad toh dikhaadijiye.
Humara dil baithay ka baitha gaya.
Boltay hain, baji yeh toh 4 jildon main milegi. Aur alag hum de nahi sakte. Leni hai toh saari kitaaben saath lo.

Hum mooh latkaye, teen chaar kitaben liye ultay qadam ghar ko hue.

No comments:

Post a Comment