Beading up a reality with background music.

Friday, November 22, 2013



Bandishen; dil ki, Zehen ki ,Rooh ki, Khudi ki,
Ranjishen; Zaat se, zamane se
Umeeden; tooti; Kirchiyon jaisi
Arzoo; moam jaisi
Khusboo; hawa jaisi
Mohabbat; tere jaisi, mere jaisi
Saath; jaisay khwaabon ka aur aankhon ka

Toh kholde woh girhen, tor de bandishen,
Jo tu ne apne zehen main janam din, aur paalin
Beh jaa, waqt ki lehr main
Aur mita de woh khauf umeeden tootne ka
Arzoo-en pighalne ka
Ke agar tujhe khudse mohabbat na hui,
Toh doosra bhi kabhi samajh nahi sake ga



No comments:

Post a Comment