Gulon main rang bhare, bad-e-naubahar chale
chale bhi ao k gulshan k karobar chale
Qaffas udas hai yaro, saba se kuch to kaho
kahin to bahr-e-khuda aj zikr-e-yar chale
Kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho agaz
kabhi to shab sar-e-kakul se mushkabar chale
Bara hai dard ka rishta, ye dil garib sahi
tumhare nam pe ayenge gamgusar chale
Jo ham pe guzari so guzari magar shab-e-hijran
hamare ashk teri aqabat sanwar chale
huzoor-e-yar hui daftar-e-junun ki talab
girah main le k gareban ka tar tar chale
maqam 'Faiz' koi rah main jacha hi nahin
jo ku-e-yar se nikle to su-e-dar chale
Beading up a reality with background music.
Sunday, March 13, 2011
Faiz
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment